Watch Gatku’s video before participating in the quiz to maximize your chances of winning!
Jo bhi mujhse milta hai, kehta hai main bahut pyara hoon lekin main hoon bahut takatwar, mujhme power hai jhakkas! Main aaya hoon door ke ek planet se jiska naam hai "Milaxy".
Hamare planet Milaxy par sab kuchh milk se bana hai paneer ke hai pahaad, nadiyon mein bahta hai gaadha doodh, lassi ke hain waterfall! Aur pedon par ugte hain rasgulle, mera planet hai bahut anokha, aur vaha par rehne walon ko doodh bahut pasand hai.
Hamare planet par har saal hota hai ek competition. jitney waale ko milta hai universe ghumne ka mauka, lekin is baar ye mauka aur bhi bada tha kyuki champion ko milna tha dharti ka trip. Sab bacchon ne kiya try lekin ho gaye fail. Par meri baari jab aayi, maine pehle se kar rakhi thi puri taiyari. kyunki maine Earth ke baare mein bahut kuchh suna tha. Long jump lagane se pehle maine piya gilas bhar ke doodh, mujhe mili power Jhakkas aur energy bharpoor. Maine lagai tej daud ke sath lambi chhalang, bana CHAMPION aur jeet gaya dharti ka FREE trip!
Trip thi lambi, badi kamal, par pahuchte hi lagi bhookh aur aaya doodh ka khyal. Bahut khoja maine accha doodh magar dharti par mere sath hua dhokha, doodh to bahut mile but without gaadhe maje ka chaukha, mujhko dekh udaas Gaiyya le aayi mujhe Namaste India ke paas.
Doodh pikar mujhe aaya "Gaadha Maza", meri energy bhi hui high aur main jhat-jhat-jhat, Gat-gat-gat, karke pi gaya sara doodh. Mujhe is tarah doodh peete dekhkar Gaiyya ne apni maa se kaha - " Gat-gat-gat karke peeta hai ye doodh, ye toh Gatku hai Maa!"
Aur is tarah dharti par sabhi mujhe 'Gatku' bulane lage.
Bhookh se tha main pareshan, Gaiyya ne kiya mera samadhan!
Gaiyya se madad mili, toh maine socha ki ab main bhi dharti par rahunga aur sabki madad karunga. Rinki, Chinku, Banti—dheere-dheere ban gaye mere bahut saare naye dost, aur ab aap bhi ban sakte hain mere dost!
Main kisi ko bore nahi hone dunga, kyunki main lekar aaya hoon gaadhe maze ka daur! Mera planet dikhne mein kaisa hai aur mera kamaal dekhne ke liye video poora dekhein, aur poochhe gaye sawaal ka sahi jawaab dein.